Javascript required
Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

How to Delete Facebook Account Permanently in Hindi

Agar top social network site ki baat ki jaye to Facebook ka naam sabse pehle aata hai. Agar aapke pass smart phone hai to aap jarur Facebook se jude huye hoge. Facebook ke jariye hum apne relatives or friends ke sath connect to kar sakte hai par iske alawa bhi hum Facebook ke jariye New Friends bana sakte hai.

Facebook jaha sabhi ko ek dusare ke sath connect karta hai wahi ye aapko ek aisa platform bhi deta hai jaha aap apne business, or product ko promote kar sako. Kai bar aisa hota hai ki hum apna bahut sara Facebook account bana lete hai or jiski wajah se sabhi account ko manage karna muskil ho jata hai.

Facebook Account Ko Delete or Deactivate kaise kare Full Guide In Hindi

Aapke pass bhi jarur ek se jyada Facebook account honge , ye common baat hai. Jo log Facebook ke sath jude huye hai wo ek se jyada Facebook account ko manage karte hai. Aise me agar aap apne Facebook account ko delete karna chaho to thoda confusion hota hai ki kaise Facebook account ko delete kia jaye.

  • Facebook ke jariye paise kaise kamaye ?
  • Microsoft account kaise banaye ?

To friends aaj hum aapko wo sabhi tarike batane wale hai jisay follow karne par aap ane Facebook account ko deactivate kar sakte ho ya fir apne Facebook account ko permanently delete kar sakte ho.

Facebook aapko 2 option deta hai jissay aap apne Facebook account ko –

  • Deactivate kar sako
  • Permanently delete kar sako

In dono option ke alag alag fayde hai, jiska aapko janna bahut jaruri hai taki aap sahi decision le sako ki aapko apne Facebook account ke sath karna kya hai. To chaliye aapko sabse pehle ye bata dete hai ki Facebook account deactivate karne or Facebook account elet karne me kya fark hai.

Facebook account deactivate karne se kya hota hai ?

Facebook account ko deactivate karne ka matlab hota hai ki aap apne Facebook account ko kuch samay ke liye OFF kar rahe ho yani ki बंद kar rahe ho. Yani ki kuch samay ke bad aap apne Facebook account ko fir se activate kar sakte ho. Facebook account ko deactivate karne par –

  • Agar koi aapko Facebook par search karta hai to usay aapka profile najar nahi aayega.
  • Agar aap kisi ke friend list me ho to wo aapko dekh sakta hai lekin agar wo aapke profile ko dekhna chahega to wo aisa nahi kar sakta.
  • Agar aapne kisi ko message kiya hai to wo message delete nahi hota. Maan lijiye ki aapne mujhe message kiya hai or aapne apne Facebook account deactivate kar diye hai . To me aapke kiye gaye message ko read kar sakte hu, lekin me aapke profile ko nahi dekh sakta.
  • Apne timeline ke alawa agar aapne koi post kisi dusare ke timeline par post kiya hai to wo post visible hoga.
  • Facebook account deactivate karne ke bad aap kabhi bhi apne Facebook account ko fir se reactivate kar sakte ho. Apne Facebook account ko fir se activate karne ke liye bas aapko apne Facebook account me login karna hota hai.

Ab aap samajh gaye hoge ki Facebook account ko deactivate karne se kya hota hai , ab chaliye aapko batate hai ki Facebook account ko delete karne par kya hoga ?

Facebook account delete karne se kya hota hai ?

Jab aap apne Facebook account ko delete karte ho to aapka Facebook account 14 dino ke liye deactivate ho jata hai, or agar aap in 14 din ke andar aap apne Facebook account ko activate karna chahte hai to aap isay activate kar sakte ho. Lekin 14 dino ke bad aapka Facebook account permanently delete ho jata hai. Jab aap apne Facebook account ko delet karte ho to-

  • aapka Facebook account turant delete nahi hota balki 14 dino ke liye aapka Facebook account deactivate ho jata hai, yani ki 14 dino tak aapka Facebook profile na to koi dekh sakta hai na hi search kar sakta hai.
  • Agar in 14 dino ke andar aap apne Facebook account me login karte ho to aapne jo apne Facebook account ko delete karne ke liye request behja tha wo reject ho jayega. Matlab ki aapka Facebook account fir se activate ho jayega.
  • 14 dino ke bad aapka facebook account puri tarah delete ho jata hai , or tab aap pane Facebook account me login nahi kar sakte.
  • Aapke sabhi Facebook data 90 dino ke andar delet ho jate hai , is doran aapka koi bhi post or photo kisi ko dikhai nahi deta.
  • Aapne kisi ko agar message bheja hai to wo delete nahi hoti kyunki message data aapke Facebook account me store nahi hoti hai.

Dekha jaye to Facebook account ko delete karne ka matlab hota hai ki apne Facebook account ko 14 dino ke liye deactivate karna, or 14 dino ke bad aapka Facebook account permanently delete ho jata hai.

14 dino tak aapka koi bhi post, profile , photo kisi ko visible nahi hota , lekin aapne kisi ko message bheja hai to wo hamesa visible rehte hai.

To friends ab aap puri tarah samajh gaye hoge ki Facebook deactivate or delete karne ka matlab kya hota hai. To chaliye sabse pehle aapko batate hai ki Facebook account ko deactivate kaise kiya jata hai..

Facebook account ko deactivate kaise kare ?

STEP – 1

facebook account deactivate kaise kare

1. Aapko apne jis Facebook account ko deactivate karna hai usme login kare or top right corner me jo Arrow button hai us par click kare.

2. Arrow button par click kare hi aapko ek menu bar najar aayega, yaha aapko Settings par click karna hai.

STEP – 2

facebook account deactivate kaise kare 2

1. General par click kare.

2. Manage account par click kare.

STEP – 3

facebook account deactivate kaise kare 3

Deactivate your account par click kare.

STEP – 4

facebook account deactivate kaise kare 4

1. Yaha aapko select karna hai ki aap apna Facebook account kyun deactivate karna chahte hai. In sabhi me se aap koi sa bhi option select kar sakte ho, lekin hum aapko recommned karnge ki aap I have another Facebook account ko select karo..

2. Option select karne ke bad Deactivate par click kare.

STEP – 5

facebook account deactivate kaise kare 5

Yaha aapko conformation message show hoga jisme aapko Deactivate Now par click karna hai.

STEP – 6

facebook account deactivate kaise kare 6

Bas itna karte hi aapka Facebook account deactivate ho jayega, or agar aap kabhi apne Facebook account ko fir se activate karna chahte ho aapko bas apne Facebook account par login karna hai.

To friends aapne ye to sikh liya ki Facebook account ko deactivate kaise kiya jata hai. Lekin agar aap apne FAcebook account ko permanently delet karna chahte ho to niche diye gaye steps ko follow kare.

Facebook account ko permanently delete kaise kare ?

STEP – 1

Facebook account me apne Facebook ko delete karne ka option nahi hai, aap apne Facebook account ke jariye apna Facebook account deactivate to kar sakte hai lekin agar aapko pane Facebook account delete karna hai to aapko Facebook ke ek page par jana hoga. Facebook page ka link maine niche diye hai, Facebook page par jane ke liye niche diye gaye Delete My Facebook Account par click kare.

Delete My Facebook Account

STEP – 2

how to delete facebook account hndi me jankari

Facebook ka ek page open hoga jaha par aapko Delete Account par click karna hai.

STEP – 3

how to delete facebook account hindi me jankari

1. Apne Facebook ka Password dale.

2. Continue par click kare.

STEP – 4

how to delete facebook account hindi me jankari 2

Delete Account par click kare.

STEP – 5

how to delete facebook account hindi me jankari 3

Aapne apne Facebook account ko puri tarah delete karne k liye request bhej diye hai or 14 dino bad aapka Facebook account permanently delete ho jayega, agar aap apna delete request ko cancel karna chahte hai to aap 14 dino ke andar aisa kar sakte hai. Bas aapko 14 dino ke andar hi apne Facebook account me login karna hoga.

how to delete facebook account hindi me jankari 4

Agar aap apne Facebook account ko fir se reactivate karna chahte ho to 14 dino ke andar aapko apne Facebook account me login karna hoga, Login karne ke bad aapse pucha jayega ki kya aap apne delete request ko cancel karna chahte ho, bas aapko Cancel Deletion par click karna hai or aapka Facebook account fir se activate ho jayega.

CONCLUSION

Friends aaj hume aapko batata ki Facebook account ko deactivate or delete kaise kiya jata hai. Agar aap apne Facebook account ko permanently delete karna chahte hai to aapka Facebook account 14 dino ke liye deactivate ho jata hai or uske bad permanently delete ho jayega. Is doran agar aap apne Facebook account pe login karte ho to aap apne Facebook account ko fir se activate kar sakte ho.

  • Gmail account kaise banaye ?
  • Whatsapp ke jariye paise kaise kamaye ?

Isliye agar aap apne Facebook account ko delete karna chahte ho to Facebook account ko delete karne ke liye aaply karo or 4 dino tak apne Facebook account par login na karo.

Friends Facebook account hume apno ke sath connect karta hai or isi ki wajah se hum apne friends or relatives ke sath easily connect kar pate hai. Isliye agar aap apna Facebook acoount delete karna chhate ho to behtar yahi hoga ki aap apne Facebook account ko deactivate kar do, taki future me aap usay fir se activate kar sako.

Hum ummid karte hai ki aaj ka hamara post aapke liye bahut helpful raha hoga. Agar aapko humse kuch puchna hai to hume comment jarur kare. THANKS

How to Delete Facebook Account Permanently in Hindi

Source: https://www.acchibaat.com/facebook-account-ko-delete-or-deactivate-kaise-kare-full-guide-in-hindi/